Bihar Berojgari Bhatta 2025

Berojgari aaj ke samay mein desh ki ek badi samasya hai. Bihar mein bhi berojgari tezi se badh rahi hai. Isi samasya ko kam karne ke liye Bihar Sarkar ne Berojgari Bhatta Yojana 2025 launch ki hai, jiska fayda rajya ke shikshit berojgar yuvaon ko milega.

Is yojana ke tahat eligible berojgaron ko har mahine โ‚น1000 ka bhatta diya jaayega. Is article mein aapko milegi poori jaankari, eligibility, document list, aur apply karne ka tarika.

Bihar Berojgari Bhatta 2025 Overview

PointDetails
Yojana Ka NaamBihar Berojgari Bhatta 2025
VibhagDevelopment and Labor Resources Department
LabharthiBihar ke shikshit berojgar yuva
UddeshyaBerozgaron ko arthik sahayata dena
Bhatta Rashiโ‚น1000 prati mahina
Aavedan Ka TarikaOnline
RajyaBihar

Yojana Ki Vishesh Jankari

Vishay
Berojgari bhatta ke roop mein โ‚น1000 har mahine diya jaayega
Bhugtan directly applicant ke bank account mein hoga
Jab tak applicant ko naukri nahi milti, tab tak bhatta milta rahega
Apply karne ke liye poori prakriya online rahegi

Yojana Ka Labh Kinhe Milega

Labh
Arthik sahayata milegi un yuvaon ko jo shikshit hone ke baad bhi berojgar hain
Bhatta unke khud ke bank account mein bheja jaayega
Sarkar ke dwara tab tak sahayata milegi jab tak naukri nahi milti

Eligibility Criteria (Yogyata)

ShartVivaran
NagriktaApplicant Bihar ka niwasi hona chahiye
Ayu Seema20 se 25 varsh ke beech
Parivarik AaySaalana aay โ‚น3 lakh se adhik nahi honi chahiye
ShikshaKam se kam 12th pass, Graduate ya Post Graduate
RozgarSarkari ya private naukri nahi honi chahiye
Bank AccountAadhaar se linked hona chahiye

Jaruri Dastavej (Documents)

DocumentAvashyakta
Aadhaar CardIdentity ke liye
Ayu Praman PatraDate of Birth ke liye
Aay Praman PatraAarthik sthiti dikhane ke liye
Mool Niwas Praman PatraBihar niwasi hone ka praman
Shiksha Praman Patra12th/Graduation/Degree certificate
Bank PassbookAccount details ke liye
Passport Size PhotoRegistration ke liye
Mobile NumberOTP ke liye (registered hona chahiye)

Apply Karne Ka Tarika โ€“ Bihar Berojgari Bhatta Form 2025

Step-by-step Online Application Process:

  1. Visit karein: [Bihar Berojgari Bhatta Official Website] (link jald update hoga)
  2. Home page par “New Registration” par click karein
  3. Application form open hoga โ€“ sabhi jankari dhyan se bharein
  4. Mobile number par aaya OTP daal kar verification karein
  5. Sabhi documents scan karke upload karein
  6. Submit button par click karein โ€“ uske baad aapko Username aur Password mil jaayega
  7. In login credentials se portal par dobara login karein
  8. Form mein baaki required details fill karein
  9. Final submission ke baad aapko ek Acknowledgement Receipt milegi โ€“ ise print karke rakh lein

๐Ÿ“Ž Important Link

OFFICIAL WEBSITEClick Here