Haryana HAPPY Card Yojana Online Form 2024

Yahan par aapko Haryana HAPPY Card Yojana se judi sabhi current aur upcoming information milegi. Jaise registration process, last date, benefits, eligibility, documents aur aur bhi bahut kuch.
Department: Transport Department, Haryana
Yojana ka Naam: Haryana Antyodaya Parivar Parivahan Yojana (HAPPY Card Yojana)
Official Website: www.sarkarinest.com

Important Dates

EventDate
Yojana Start Date07 March 2024
Last DateAbhi Declare Nahi Hui

Application Fees

CategoryFees
Estimated Fees₹50 – ₹109
Payment ModeOnline

Haryana HAPPY Card Yojana Kya Hai?

Haryana ke CM Manohar Lal Khattar ne 7 March 2024 ko Panchkula se Haryana HAPPY Card Yojana ka shubh-aarambh kiya.

Is yojana ke tehat Antyodaya families ko Haryana Roadways ki buses me har saal 1000 KM tak ki free travel ki suvidha milegi.

Har eligible family ko ek Smart Card diya jayega jo e-ticketing system se linked hoga.

Lagbhag 22.89 lakh parivaron ko iska fayda milega. Sarkar is yojana par ₹600 crore tak kharch karegi.

Ek card ke liye ₹50 applicant ko dene honge. Baaki card cost (₹109) aur annual maintenance charge (₹79) sarkar degi.

Yojana ke Fayde (Benefits)

  • Haryana Roadways ki buses me 1000 KM tak free travel har saal
  • Sirf Haryana Roadways buses me valid
  • Online application process
  • Sirf ₹50 me card banega

Zaroori Documents

  • Parivar Pehchan Patra (PPP)
  • Antyodaya Card
  • Aadhar Card
  • Income Certificate
  • Haryana Domicile
  • Mobile Number

Eligibility Criteria

  • Applicant Haryana ka permanent resident hona chahiye
  • Applicant Antyodaya family se belong karta ho
  • Applicant ke paas Parivar Pehchan Patra (PPP) hona chahiye
  • Family ki annual income ₹1 lakh se kam honi chahiye

Important Related Links

Content Type Issued On Content Link
Apply Happy Card 07/03/2024 Click Here
Official Website 07/03/2024 Click Here