Haryana Roadways Senior Citizen Bus Pass 2025
Department: Haryana Roadways, State Transport Department
Haryana Sarkar ne 1 April se 60 saal se adhik umra ke varishth nagrikon ko 50% bus fare chhoot dene ka faisla liya hai. Is suvidha ka labh lene ke liye bus pass/pehchan patra banana anivarya hai. Yahi card bus conductor ko dikhakar chhoot milti hai.
Yojana Ka Uddeshya
Haryana ke varishth nagrikon ko safar mein suvidha dene ke liye roadways bus fare mein 50% chhoot di ja rahi hai. Yeh chhoot tabhi milegi jab vyakti ke paas valid bus pass/ID hoga.
Haryana Bus Pass 2025
Vishay | Vivaran |
---|---|
Yojana Naam | Haryana Senior Citizen Bus Pass |
Department | State Transport Department, Haryana |
Labh | Bus kiraye mein 50% chhoot |
Uplabdhata | Haryana Roadways ki buses mein |
Apply Mode | Online (Self ya CSC ke madhyam se) |
Application Start | 1 April 2023 |
Last Date | Koi last date nahi |
Document List (Zaruri Dastavej)
Dastavej | Jarurat |
---|---|
Parivar Pehchan Patra (PPP) | Age verification ke liye |
Aadhaar Card | Identity ke liye |
Voter ID | Identity ke liye |
Any Other Valid ID | Optional |
Age Proof | 60 saal se upar hone ka saboot |
Note: PPP se 60 saal ki age ka automatic verification hota hai.
Kaun Labh Le Sakta Hai? (Eligibility)
- Avedak ki umra 60 saal ya usse adhik honi chahiye
- Haryana ka niwasi hona chahiye
- Parivar Pehchan Patra mein details maujood honi chahiye
- Sirf valid ID wale nagrik chhoot ke patra hain
Apply Kaise Karein? (Online Process)
- Visit karein: https://ebooking.hrtransport.gov.in/
- Apna registration karein – name, DOB, gaon ka naam, pita ka naam verify karein
- Login karke “Senior Citizen Bus Pass” ka option select karein
- Zaruri documents upload karein (clear image hone chahiye)
- Form submit karne ke baad confirmation slip download karein
Aap CSC center se bhi form bharwa sakte hain
Mahatvapurna Tithiyan
Karya | Tithi |
---|---|
Online Aavedan Shuru | 01 April 2023 |
Aakhri Tithi | Nirdharit nahi (Open) |
Application Fee
Category | Fee |
---|---|
Senior Citizens | ₹0 (Bilkul Free) |
Important Instructions
- Sirf online aavedan suikrit hain
- Documents ko clearly scan karke upload karein
- Galat ya adhura form reject kar diya ja sakta hai
- Aadhaar & PPP par details sahi honi chahiye
📎 Important Links | |||||||||
---|---|---|---|---|---|---|---|---|---|
Apply Online | Registration | Login | ||||||||
Notification | Click Here | ||||||||
Official Website | Click Here |